BREAKING NEWS

Friday 6 November 2015

Jaane Tere Shehar





Jaane tere shehar ka kya iraada hai Aasmaan kam, parindey zyada hain O.. jaane tere shehar ka kya irada hai
Khushi ka hissa Gham ka hissa Ghoont ka hissa Dum ka hissa Zakhm aur marham ka hissa Dil-farosi ka ye qissa
Jaane tera ishq bhi Kya tamasha hai Raat ko mulzim Din mein Khuda saa hai
Jaane tere shehar ka kya iraada hai
Jaane hum pe kaun si aisi tohmat hai Samajh na paayein aib hai yaa ye aadat hai Malmal mein lipte hain Phir bhi bikhre hain Bas ye jaam humara hai, hum iske hain
Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai Har ghadi zinda.. har din naya saa hai
Jaane tere shehar ka kya iraada hai

Share this:

Post a Comment

 
Back To Top
Copyright © 2014 Symphony of Lyrics. Designed by OddThemes